Ho chuki mulakaat abhi salaam baaki hai
Tumhare naam ki do ghoont sharaab baki hai
Tumko mubarak ho khushiyoon ka shamyaana
Mere naseeb me abhi do gaz zameen baki hai.
Aisa nahi ke hamare dil ko kisi se pyar na hua
pyar to hua magar pyar ka kabhi izhaar na hua,
do gaz zameen to hume bhi naseeb ho jati magar
maut se hi hamara ab tak koi karaar na hua
Kalam uthayi hai lafz nahi milta,
jisko dhoond rahein hain wo shaks nahi milta,
firte hain wo zamaane ki talaash mein,
bas humare liye unhe waqt nahi milta!!!
Naaz Ki Kalam Pe Naaz Hai Hamko
Unke Dil Ki Gaharayee Ka Ahsaas Hai Hamko
Aapki Talaash Poori Kar Dete Hum Magar
Kisi Aur Bewafa Se Wafa Ki Talash Hai Hamko