Dil k lahoo ko bana k syaahi,
likh dali hai apni prem kahani,
socha to tha ki do honge kidaar,
par rah gai akeli mai diwani,
vada to kiya tha nibhane ka sath,
na jane usey hai kaisi pareshani,
akele to usey kabhi neend bhi na aai,
jab tak na sahlai hamne uski peshani,
intzaar har pal hai uska,
aur yaad bhi subho-sham hai uski aani,
to kaise jode ham rishta kisi se,
aur kar de ham usse baimaani,
nahi samjha hai zamana ishq ko,
aur na ab samjha payegi ye diwani
jeete ji to karte nahi kadr,
marne k baad dhoondhte hai nishani…
