mere kareeb to aao ki bahut udaas hoon mai,
koi kahani sunao ki bahut udaas hoon mai,
kisi bhi jhoote dilaase se dil ko behlao to sahi,
bus aaj toot ke chaho ki bahut udaas hoon mai..............
ham kareeb hi hain man udaas na karo,
banho me hame lene ka ehsaas to karo,
hamare pyaar me koi kami na milegi,
hamari chahat ki gehrai ka ehsaas to karo...........
ab to har taraf bahaar hi nazar aate hai,
jaha nazar jaaye waha bas yaar hi nazar aate hai,
zamaane me log to bahut mile hamko,
par aaj kal bas hamare sarkaar nazar aate hai..........
par aap hame nazar nahi aaye miya.....kanha hain aap
ab aa bhi jao aur der na karo sanam,
tum bin lage nahi ye man,
tum bin sari duniya sooni,
soona soona lage gagan,
tum bin sab kaliyan murjhai,
ujda ujda lage chaman......