Tumko jab kabhi milain fursstain meray dil se bojh uttar do,
main kai dinon se udaas hoon mujhay 1 shaam udhaar do,
mujhay apnay roop ki dhoop do, ki chamak sakain meray khayal khuaab,
mujhay apnay rang main rang do meray saaray rang uttar do,
kissi aur ko meray haal se na koi gharz hai na koi waasta ,
main bikhar gaya hoon smait lo main biggad gay hoon sanwar do,
wahan kaun muantazir hai jisae ghum ho der swer ka,
ye jo ruki se raat hai issay chaandni main guzzar do...........
