Woh pani ki lehroun pe kia likh raha tha
Woh pani ki lehroun pe kia likh raha tha,
Khuda janay harf e dua likh raha tha,
likha tha jis nay pyaar ka maani adhora,
woh shaks pyaar ki intiha likh raha tha,
zara us ki ankhoun say ansoun na tapkay,
woh jis waqt harf e saza likh raha tha,
Muhabbat main nafrat mili the usay b ,
woh har shaks ko beewafa likh raha tha....
|