Wo jo roop zer-e-naqab tha
Wo jo roop zer-e-naqab tha
Usay dekhna mera khuwab tha
Jo mila tha hijr ki shakal may
Mere chahatoon ka azaab tha.
Yeh sawal tha kay mila karoon
Na mila karoon
Yeh jawab tha
Jisay dekh kar main tarap utha
Ter ankhon main wo hijab tha
Mere pass thi mere tishnagi
Tere pass jam-e- sharab tha
Tere pyaar tha mere shayari
Tera ishq meri kitab tha.
|