Halki Si Pehli Baarish Dhundalayi Pehla Ishq
Halki si thi woh baarish ki pehal
Mehroom si thi woh boondey saawan ki
Mehak utha phir saara Aashiyaan
Dil Ne bhi lee nayi angdayiyaan
Ozal hua aankhon se gilla savera
le aaya phir ghata yaadon ka woh basera
Yaadein taaza karaaye usne dabi ehsaason ki ..... na jaane kyon
Hai bahut si najdeekiyaan is mausam ki hamarein armaano se
ban gaya mano rishtaa kudrat ke is bhagwan se
Goonj utha phir wahi mohabbat baadolon ke gadgadaane se
Aur baras padi wahi boondein umadke unhi ke khayallon se
*************Pehla pyar aur pehla saawan******************
|