
05-18-2010, 07:29 PM
|
 |
Banned
|
|
Join Date: May 2010
Posts: 92
|
|
Quote:
Originally Posted by arjun7
Hamari dosti acchi thi,
Kaash isey rishtey ka naam na diya hota,
Sahare ke liye mile daman ko dekh,
Kaash tumahara haath tham na liya hota,
Ankho se behte apne dard to chipane keliye,
Kaash tumahari bahome sama na gaye hote,
Tumahare chune bhar se hi..... hai..
Kaash hum sharma na gaye hote,
Sagar ke lehro ko dekh tumahare saath sapne sanjoye na hote,
Tumahare haatho ki chuan se...
Kaash yeh hoth thartharaye na hote,
Anjaam jaante hue bhi
Kaash hum us rah ke rahi kehlaiye na hote,
Yahi soch soch kar kudh ko koste hai aaj,
Ki kaash yeh sab na hua hota,
Tab to sirf tanhai ki boondh thi, par....
Ab yeh tanhai ka samandar na hota.
|
wah wah dost kya khoob kahi
|