Peeta Hoon
Nazaron se nazaaron ke jaam peeta hoon,
Jab aaye mehfil me tera naam, peeta hoon.
Har din na peeta yahaan main yaaron,
Bas jab-jab dhalti ye shaam, peeta hoon.
Saans lene ke siwa na koi kaam mujhe,
Bas jab-jab hota koi kaam, peeta hoon.
Tune jo humare dil se ki hai itni bewafaai,
To khud se uska le-le inteqam, peeta hoon.
Lagataar na kabhi peeta hai ghayal,
Har do lamha kar aaraam, peeta hoon.
Bina tere ab kaise jiyega ye ghayal,
So apni maut ka kar intezaam, peeta hoon
|